Jumma vlog

Jumma vlog

@Kaif Qureshi
0Usos
0Comparte
0Me gusta
0Guardado por

Assalamu Alaikum dosto! Kaise hain aap sab? Mera naam hai Amir aur main hoon apne pyare UP se. Aaj hai barkat wala din—Jumma! Subah ke 10 baj rahe hain, naha-dhokar main toh ho gaya hoon bilkul taiyar." "Aaj maine pehna hai ye khas Pathani kurta, aur bhai... bina itar ke Jumma adhura hai. Aaj lagaya hai 'Jannatul Firdaus'... kya lajawab khushbu hai! Dil garden-garden ho gaya." "Azan ki awaaz soun kar jaldi se aa jate hai Masjid. Abhi main Masjid ki chhat par hoon. Yahan se hamare gaon ka view dekhiye dosto, kitna shandaar lag raha hai na? Aur wo rahi hamare gaon ki mazar. Bas ab namaz ka waqt ho gaya hai, milte hain namaz ke baad." "Namaz mukammal karke main seedha aa gaya hoon kabristan, apne Dada Jaan ke paas. Yahan thodi der baith kar agarbatti jalayi aur unke darjaat ke liye dua ki. Apno ki yaad toh aati hai, par unke liye dua karke dil ko bada sukoon milta hai. "Ab ghar wapas aa gaya hoon. Kapde change kiye aur ab lagaya hai thoda 'London Itar'—shauk badi cheez hai dosto! Bas ab garma-garam khana khayenge.

urMasculinoJovenRedes SocialesConversacionalRelajadoTranquiloAmigableHindiVlog
Público
Muestras
Aún no hay muestras de audio