“Allah Ta'ala Qur’an mein farmate hain… ‘Fa inna ma'al 'usri yusra.’ Beshak mushkil ke saath aasani hai. Agar aaj aap kisi pareshani se guzar rahe hain, toh umeed mat chhodiye… Sabr rakhiye, Allah par bharosa rakhiye. Kyuki jis Rab ne mushkil ke baad aasani ka wada kiya hai, woh apne waade ke khilaf nahi karta. Allah humein har mushkil ke baad aasani ata farmaye. Aameen.”