Sahiwal ki mitti se uthti hai ek pehchaan, Har zarra kehta hai yeh hai meri jaan. Yahan ki hawa mein sachai ka rang, Dil se nikle alfaaz, na koi dhong na dang. Behti hui nehr jaise kahani sunaye, Sukoon ka paigham har dil tak pohanchaye. Pani ki lehron mein khwab chamakte hain, Sahiwal ke log bhi sitaron se lagte hain. Suraj jab dhalta hai asmaan ke paar, Shehar pe chha jata hai noor beshumar. Galiyon mein halki si roshni ka jaal, Har kona lagta hai jese koi khayal. Kheton ki chaadar haryali se bhari, Mehnat ki kahani har fasal ne likhi. Yahan ke log mehnati aur seedhe, Unki muskaan lagti hai sab se zyada pyari. Sahiwal sirf shehar nahi, ek ehsaas hai, Har rehne wala yahan khaas hai. Door bhi chalay jao to yaad aye yahi, Dil ke kareeb sab se zyada hai yahi. ❤️