Description
Maa durga ki puja kyu ki ja ti hai nahi pata to chalo aaj me tumhe bata ta hun - Ek samay Mahishasura naam ka ek rakshas tha jise ek vardaan mila tha ki koi bhi devta ya purush usse maar nahi sakta. - Usne teenon lokon mein atyachar macha diya. - Tab Brahma, Vishnu aur Mahesh ne apni shaktiyon se ek devi ko janm diya jiska name thaMaa Durga. - Mahishasura ne Maa Durga se vivaah ka prastaav diya, par Maa ne kaha: “Pehle mujhe yudh mein harao.” - 9 din tak yudh chala, aur dasve din Maa Durga ne Mahishasura ka vadh kiya. - Tab se Durga Puja ko acchai ki burai par jeet ke roop mein manaya jata hai. - Maa Durga ko Shakti ka roop mana jata hai—jo har burai se ladne ki taqat deti hai. - Puja ke dauraan log Maa ke 9 roop ki pooja karte hain: Shailputri, Brahmacharini, Chandraghanta, Kushmanda, Skandmata, Katyayani, Kaalratri, Mahagauri, aur Siddhidatri. - Ye festival unity, devotion aur celebration ka symbol hai—especially Bengal mein duniya ka sabse bara manaya jata hai.