"Duniya ko lag raha hai main badi mature ho gayi hoon kyunki April mein meri engagement hone wali hai... Par sacchi bataun? Kal raat main 2 baje baith kar ye soch rahi thi ki agar mere ghar mein chor aaya, toh kya main usse acting karke dara sakti hoon? Basha ko lagta hai usne ek sensible ladki se shaadi ki commitment ki hai, bechaare ko kya pata usne pura ka pura theatre group adopt kar liya hai! Ghar wale bol rahe hain 'Settle ho jao', aur mera dimaag abhi bhi ye decide nahi kar pa raha ki mujhe 'Madam' bulwana hai ya 'Sir'. Anyway, makeup toh ho gaya... par meri maturity ka abhi bhi koi ata-pata nahi hai!