描述
Saath hi, main aadarniya Rail Mantri ji se Betul–Chandur New Bazaar nai railway line ke nirmaan ki bhi vinamr maang karta hoon. Yeh 84 kilometre lambi proposed railway line Betul ko Maharashtra ke Chandur New Bazaar se jodegi, jo Amravati jile ke nikat hai. Is nai rail line ke nirmaan se kai mahatvapurna labh honge Betul jile ke do bade aur mahatvapurna kasbe – Athner aur Betul Bazaar – jahan is samay tak koi railway connectivity nahi hai, ve is nai line ke madhyam se pehli baar rail se jud jaayenge. Isse Betul ka Amravati se seedha rail sampark sthapit hoga, jo Madhya Pradesh aur Maharashtra ke beech mein sampark, vyapar aur yatra suvidhaon mein vriddhi karega. Yeh rail line gramin Or aadivasi kshetron ke liye arthik aur samajik vikas ki ek nayi disha tay karegi, aur logon ko rozgar, vyapar aur shiksha ke naye avsar pradan karegi. Bhoogeolik roop se bhi yeh rail corridor atyant upyogi hoga, kyunki yeh dono rajyon ke beech ka sabse chhota aur saral rail route ban sakta hai. Yeh rail line na keval ek vyavaharik avashyakta hai, balki is kshetra ke samagra vikas ke liye ek drishtikon bhi hai.