サンプル
Default Sample
आज कल के टाइम में कोई नया क्रिएटर मार्केट में आता है तो लोग उसको जज करने में एक सेकंड नहीं लगाते। सोशल मीडिया पर हर कोई एक्सपर्ट बना बैठा है और नए आइडियाज को क्रिटिसाइज करना तो जैसे फुल टाइम जॉब हो गया है। यही रीजन है की इनोवेशन को मार रहा है।
説明
Prologue
Bollywood ki 2 generation ke 2 sabse bade superstars ki baat ki jaaye to sabse phela naam jo hamare dimaag me aata hai wo Salman Khan Aur Ranbir Kapoor Kyuki, ek ne apne carrier me mass level movies ki.. To dusre ne apne carrier me badi experimental movies par dhyan diya….
Lekin, ab gaur kare to ranbir ke paas bhi salman ki tarah mass audience, ache box office numbers or ek aisa aura hai jo kisi bhi actor ke liye match karpana bahut mushkil hai…
Aur esi ko dekhke huye kya hum ye keh sakte ki, aane waaley samay me ranbir kapoor he next salman khan honge… Ya phir wo salman khan se bhi aage jaane wale hai…. Toh chalo phir karte hai start…
Chapter 1: Introduction: The Legacy of Salman Khan
Salman Khan ye naam sunte hi sabse phela khyaal jo ham sabke dimaag mein aata hai… Woh hai, shirtless look, chere pe gussa aur ye dialogue, (0:12 - 0:19)
To salman Khan sirf ek actor nahi hain, balki ek emotion hain, ek era hain, aur Bollywood ka wo hissa hain jo khatam to dekho nahi ho sakta….
Ab sallu bhai ka career 1988 mein Biwi Ho To Aisi se shuru hua tha, lekin bhaijaan ko asli pahchan 1989 mein aayi Maine Pyar Kiya film se mili (0:00 - 0:08)…. Ab, yeh film sirf hit nahi hui, balki logo ke dilo par chaa gayi…
Aur yahi se Sallu Bhai ki image ek innocent chocolate boy ke roop me banni shuru ho gayi… Ab badi baat to ye hai ki, us time ke hisab se Maine Pyar Kiya hai ne worldwide 30 crore kamaye the, jo kaafi zyada the… aur esiliye ye movie ek blockbuster saabit hui….
Lekin ek mast sexy baat batau to Salman Khan ko es movie ke liye reject kardiya gaya tha?.
Kyuki, Director Sooraj Barjatya pehle unhe cast nahi karna chahte the, lekin jab bhai baad mein jab bhai ka look dekha to director ko feel aa gaya yaar… ek minute nahi nahi (beep 0.3 seconds)
Aur esiliye, 90s ka decade Salman Khan ke liye ek golden period saabit tha…. Kyuki 1994 me release hui, Hum Aapke Hain Koun..! ne toh records he break kr diye… Jiske chalte past ke stars ke saath ek naam or add hota dikhai de raha tha…. Salman. Aur es time tak salman ko khud nahi pata tha ki, vo aane vaale future me kis had tak jaane vaale hai…
Aur phir 1995, Karan Arjun (0:53 - 0:58)…. 2003 Tere Naam, jismein unka Radhe Mohan ka character aaj bhi yaad kiya jata hai… (0:27 - 0:33).
Jiske baad, 2000s mein Salman Khan ki image he badal gayi. Woh chocolate boy se sidha "Bhai" ban gaye….. ladko ke beech bhi or ladkio ke beech bhi (beep 0.3 seconds).
Kyuki, Wanted, Dabangg ne unhe action hero ke taur par janta ke saamne present kiya…. Jiske baad, sallu miya ek star ke level ko break kar chuke the…..
Aur phir, TV show Bigg Boss me as a host bhi sallu bhai ko pasand kiya gaya…. Woh har weekend contestants aur audience ko entertain karne aate the….. aur esiliye, salman ka connection unki fans ke saath or bhi behtar hota chala gayaa…. Jisse beat kar pana aaj ki generation ke actors ke liye bahut bahut mushkil hai..
Lekin Lekin Lekin ab aate hai wo saksh, jo aaj ki generation ke one of the best superstar hai, aur jinhone ladkio ke dilo par raaj kiya hua hai…. Please welcome the one and only (RiTopper)... (Itne jhut puneet meme) (beep 0.3 seconds).
Chapter 2. Ranbir Kapoor: The Evolution of a Star
Toh, Ranbir Kapoor, jinka bhi naam sunte hi dimaag mein ek chocolate boy ka chehra yaad aata hai…..
Ab, Ranbir Kapoor ne Bollywood mein apni entry 2007 mein Saawariya se ki thi… par,
ye film flop ho gayi… Lekin, eske baavjood, ranbir kapoor ka hidden talent sabko dikh gaya tha…. Ab dekha jaaye to, ranbir kapoor khandaan se hain, jismein legends like Raj Kapoor, Shammi Kapoor, aur Shashi Kapoor ne ek time par raaj kiya tha, lekin Ranbir ne apni pehchaan khud banayi hai. Unka journey ek romantic hero se lekar ek versatile actor tak ka hai..
Jaise 2009 mein aayi Wake Up Sid ne unhe ek nayi pehchaan di. Iss film mein unka Sid Mehra ka character janta ne bahut pasand kiya…..
Kyuki, Woh lazy, confused, aur apni zindagi mein lost ladka tha, jisse har koi relate kar sakta tha….. Lekin 2011 mein Ranbir ki most iconic movie aayi jiska naam tha… Rockstar jisne sabko shock kar diya… (1:48 - 1:51)
Kyuki, Ranbir ka Jordan ka character ek aisa intense role tha jismein unki acting ne sabko rula diya. Woh emotional pain, woh frustration, aur woh passion jo unhone screen par dikhaya, woh aaj bhi yaad kiya jata hai…. Aur yahi se Ranbir janta ke saamne ek serious actor ke roop mein present huye..
Jiske baad, 2012 mein Barfi! ne bhi Ranbir ko bahut appreciation dilayi….. Yaha tak ki, Iss film ne unhe National Award ke liye bhi nominate kya, aur yahi se woh Bollywood ke sabse versatile actors mein se ek ban gaye….
Aur, phir 2018 mein Sanju ne Ranbir ko wo pehchan dilayi jiske wo haqdar hai. (0:06 - 0:13)
Aur esiliye, etni khatarnaak performance ki vajah yeh film ek blockbuster saabit hui…
Aur eske baad se he, kahi na kahi ranbir kapoor Bollywood ke one of the most talented and best actor ban gaye….
Aur ye hona bhi tha, kyuki sanju se phele bhi ranbir ne apne roles mein experiment kiya… jisse unka kaam karne ka experience kaafi acha tha, Jaise 2015 ki tamasha, yeh jawani hai dewani, rocket singh or bhi bahut aise movies hai jisko agar hum aaj uthake dekhe to aisa feel hota hai ki jese ranbir ke alava en roles ko koi of etna perfection ke saath nahi kar sakta… aur esiliye, ab ranbir ki movies ka wait karti hai… kyuki, unhe pata hai, ki unka yeh wait worth it saabit hoga….
Jiske baad, jab Animal aayi to bhai Ranbir Kapoor ke alava us waqt Industry me kisi ka naam he nahi liya jaa raha tha (0:53 - 1:03).. Kyuki, ranbir ne movie me aisa character play karte hain… jisko definitely ko bhi actor karne se phele 100 baar sochega…..
Ab yahi se Ranbir ki ek legacy shuru ho gayi... Aur esiliye aaj unki image ek aise actor ki ban chuki hai jo puri tarah se ghus jaate hai apne role ko perfection ke saath karne ke liye….
Chapter 3: Public Image and Fan Base
Ab, dekha jaaye to salman khan aur Ranbir Kapoor... dono hi Bollywood ke sabse bade stars hain, lekin dono ka public image aur fan base bilkul alag hai. Salman Khan, jinko hum "Bhai" ke naam se jaante hain, woh masses ke hero hain…. Yaani ki, bhai ki image ek larger-than-life action hero ki hai, jinhe aaj har koi jaanta hai…
Movies, shows aur apne charity jese kaam ke liye salman khan aaj ek actor nahi balki ek emotion hain…. Jiski vajah se bhai, ka fan base itna strong hai ki chahe samne koi bhi ho unke fans uspar bhari pad jaate hai… Ha baat jab hiran (beep 0.3 seconds)...
Aur wahi, dusri taraf, Ranbir Kapoor ki image ek urban, classy, aur versatile actor ki hai… Unka fan base mostly youth oriented hai. Ranbir ko unki acting skills, choice of scripts, aur unki simplicity ke liye pasand kiya jata hai…..
Aur, wo na yaar bahut alag type ke person hai, matlab woh social media par kam active hain, haa wo bat alag hai bhai ne apni ek secret insta id banai hui….. (add clip)...
Esiliye, Ranbir ka connection apne fans ke saath bhi thoda different hai - woh unhe apne filmo ke roles ke through connect karte hain, aur esiliye aaj ranbir ke fans bhi unhe respect karte hai…...
Aur ye respect aane vaale samay me or bhi jyada badhne vaali hai…. Kyuki, ranbir ki upcoming movies ki list me badi badi movies hai…. Jese, Love and war jo eid 2026 me aa sakti hai, Ramayan jo 2026 diwali ya 2027 diwali tak aa sakti hai…. Brahmastra part 2, jo December 2026 tak aa sakta hai… aur finally animal park jo crazy hogi yaar or ye 2027 expected aa sakta hai…
Chapter 4: Kya Ranbir Next Salman Khan Ban Paayenge?
Ab dekha jaaye, to Salman Khan aur Ranbir Kapoor... dono hi Bollywood ke sabse bade stars hain, lekin sabse bada sawaal ki kya ranbir next salman khan ban sakte hai?
To dekho, sallu bhai bollywood me us time se megastar hai… jis time par logo ko megastar ka matlab ni pata tha, ab ranbir kapoor ne bhi kaafi movies karli hai… aur unhone kaafi had tak large audience ko creator kar liya hai… but,
Salman khan ki larger-than-life image, aur unka connection with the masses unhe ek cultural icon bana deta hai. Unki aane vaali filme sirf entertainment nahi, balki ek festival hai…
Jiske liye mahino phele se he log wait karne lagte hai jaise abhi sikandar aane vaali ha to uska kar rahe hai…. Aur yaar mere according es level tak jaane ke liye ranbir ko abhi kafi time dena hona….
Aur jis speed se wo grow kar rahe hai, use dekhke to yahi andaza lagta hai ki, ranbir he next generation of superstar kehlaaynge…. Lekin, next salman khan banna ek kaafi bada question mark create kar deta hai….
Kyuki, ranbir ne yaar abhitk hiran bhi (beep 0.3 seconds) lekin, haa bhai ek baat bhi jarur hai ki, Ranbir ne jis level ki experimental movies ki hai, woh kabile taarif hai… Kyunki, bahut saari audience aise hai jo kahi na kahi salman bhai ki acting ko ye kheti haii, (ye to tatti hai meme)… lekin, ranbir kapoor ko abhi tak maine kam he hate milta dekha hai…
Toh chalo bhai yahi thi aaj ki video, mere to dono he favorite hai, baaki aap kya sochte ho kya Ranbir Kapoor kabhi Salman Khan ki tarah Bollywood ke "Bhai" ban sakte hain?...
Jaldi commenys me batao.. aur Channel par naye ho to yaar pyaar dikhao apna, hum yaha aise he bollywood or influencers se related topics daalte rehte hai, next video kispe ye bhi batao or instagram par aajao baatcheet karenge londo… Ab mai bhi chalta hu… tatata…..
いいね数
0
0
マーク数
0
0
共有数
0
0
使用回数
1
1